Tuesday, March 3, 2015

Urdu peyar muhabbat shairy Free Download

Urdu peyar muhabbat shairy Free Download 

ap yaha sy asany sy download kar skty ho urud k peyari shairy aur apno dosto k sath share karo .....




(1)

Mujhy bhi yaad rkhna jab likho Tareekh-e-Wafa "Galib"

K main ne bhi lutaya hai kisi ki Mohabat main Sukoon Apna...!


(2)

kisi k haq main sahi woh koi dua to karey

woh keh nahi sakta meri suna to kare,



kabhi bataye woh aaker meri khata mujhko

woh mujh se kis liye rootha hai koi gila to kare,



main lout jaon ga wapis apni dunia main

woh shaks mujhse BicheRNe ka faisla to kare.



(3)

Hanskar Woh Gamm Ki Saza Dete Hain,

Zeher Main Thoda Sa Pyar Mila Dete Hain,

Jab Bhi Naam Aata Hain Unke Diwano Ka,

Log Meri Taraf Ungliyan Utha Dete Hain……!!!…


(4)

sub kuch luta diya faqat tujh pe bharosa kar k

Jane kiun bhot roye hum aysa kar k



Yun meri be-basi pe muskurane wale

Kiya mila tujh ko mere dukh mein ezafa kar k



Kiya kabhi tu ne bhi mujh se mohbbat ki thi

Puch zara khud ko aaine me khara kar k



Kash tu mere dard me hamdard bana hota

Tu ne to chor diya mujh ko tamasha kar k

(5)

Tumein paa k khona mare bas main nahe

Ab koe aur zakham pirona mare bas main nahe,

Ek umr tk dhoya hai dil k dagoon ko

Ab ye dagh dhona mare bas main nahe,

Jaag chuke hain bohat shab ki tanhaiyon main k

Ab raton ko sona mare bas main nahe hai,

Khushyon ki aakhri umeed le k aaya hon tere dar py

Dukhon main ab rona mare bas main nahe,

Tere baad nazar aati nahe mujhy koe b manzil

Kisi aur ka hona ab mare bas main nahe……