Tuesday, March 3, 2015

Urdu Lovely Poetry Free download

Urdu Lovely Poetry Free download

Free download the latest and new urdu poetry Download and share with your friend .......


(1)

Na wo pari ho Na pari Jeisi ho..
Mujhe Talash hai us ki jo mere Jaisi Ho
Mere dil ko Pehnchanti ho Bus Kafi hai
Woh Koi bhi ho Kahin bhi Ho Kesi bhi Ho
Ager kabhi Ruth jaon main us se To
Muskura ke Manaye Wo aisi ho 
Dukhon main Hasane ka Hunar Janti ho..
Ek aisi Hum Safar Jo Samander ki tarah Gehri ho..
Umer Bhar Sath chale Woh Aisi
ho...
Mujhe talsh hai us ki Jo mere Jaisi ho. 


(2)

Zara Si Zindagi Hay,Armaan Bohat Hen
Hamdard Nahin Koi,Insaan Bohat Hen
Dil Ka Dard Sunayen To Sunayen Kis Ko
Jo Dil Kay Qarib Hen,Wo Anjan Bohat Hen 

(3)

Judai ka koi ehsas ab zinda nahi lagta
Magar mein usko bhul jaun aisa nahi lagta
Mujhe usse mohabat to nahi phir bhi najane kyu
usse dekhu kisi k sath toh acha nahi lagta 

(4)

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Char su gunjti ruswai kisay kehtay hain

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain

Ab to khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain

Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain

Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay

aik saath hum mil ker raha kertey thay

Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain

Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko

Hum Nay khud apni raahon mai bichaye kantay

Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay

Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain

Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai

Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai

Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain

Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain

Ab jo bichray to ehsaas hua hai hum ko

(5)

MARNEy ki duayein q maangoon..

Jeenay ki tamana kon karey..

Yeh duniya ho ya wo duniya..

Ab kaawish-e-duniya kon karey....



Jab kashti sabit-o-salim thi..

Sahil ki tamana kisko thi...

Ab le k shakasta kashti ko..

Sahil ki tamana kon karey..



Jo aag lagai thi tumne..

Usko tau bhujaya ashkon ne..

Jo ashkon ne bherkai hai..

Us aag ko thanda kon karey..



Duniya ne hamein chora aey dil!!

Ham chore na dein q duniya ko..

Duniya ko samajh ker beithey hain..

Ab duniya duniya kon karey..!!!