Wednesday, March 4, 2015

Dard Peotry -

Dard Peotry - 


Find latest collection of Khwaja Mir Dard poetry in urdu and english, Khwaja Mir Dard shayari is very famous in Pakistan and around the world.


(1)

Matlabi Duniya K Log Khare Hain Hathon Me Pathar Le Kar

Main Kahan Tak Bhaagun Shishay Ka Muqqadar Le Kar...



(2)


Suna Hai Koi Aur Bhi Chahne Laga Hai Tumhe

Hum Se Barh Kar Agar Chahe To Usi Ki Ho Jana....



(3)


Ab K Tajdeed-e-Wafa K Nahi Imkaan Jana
Yaad Kya Tujh Ko Dilaen Tera Paimaan Jana

Yoon Hi Mausam Ki Adaa Dekh K Yaad Aaya Hai
Kis Qadar Jald Badal Jate Hain Insaan Jana

Zindagi Teri Ataa Thi So Tere Naam Ki Hai
Hum Ne Jese Bhi Basar Ki Tera Ehsaan Jana

Dil Ye Kehta Hai K Shayad Ho Afsurda Tu Bhi
Dil Ki Kya Baat Karen Dil To Hai Nadaan Jana

Awal Awal Ki Mohabbat K Nashe Yaad To Kar
Bin Piye Bhi Tera Chehra Tha Gulistaan Jana

Aakhir Aakhir To Ye Aalam Hai K Ab Hosh Nahi
Rag-e-Beena Sulag Uthi Hai Rag-e-Jaan Jana

Muddaton Se Ye Aalam Na Tawaqoh Na Umeed
Dil Pukare Hi Chala Jata Hai Jane Jana

Hum Bhi Kya Sada The Hum Ne Bhi Samajh Rakha Tha
Gham-e-Doraan Se Juda Hai Gham-e-Jane Jana

Ab Tera Naam Bhi Shayad Hi Ghazal Me Aye
Aur Se Aur Hue Dard K Unwaan Jana

Hum K Roothi Hui Rut Ko Bhi Mana Lete The
Hum Ne Dekha Hi Na Tha Mausam-e-Hijraan Jana

Hosh Aya To Sabhi Khawab The Reza Reza
Jese Urte Hue Auraaq-e-Pareshaan Jana.....


(4)


Duhmani Me Kahan Wo Hote Hain

Dosti Me Jo Waar Mumkin Hain.....



(5)


Kooch-E-Yaar Me Hoga Kahin Masroof-E-Tawaf

Dil Agar Seeny Me Hota To Dharakta Hota...